ashqon ki zubaan [ sad shayari ]

 1. Qabar par woh merein rone aayein hai;

     hamse pyar hai yeh kehne aayein hai

     jab zinda thay toh rulaya bohat thaa;

     abh aaram say soyen hai toh jaganein aayein hai..


2. mujhko aisa dard mila jiski koi dawa nahi;

    phir bhi mai khush hu mujhe usse koi gila nahi;

    aur abh kitne aansu bahaun uske liye;

    jisko khuda ne mere naseeb main likha hi nahi..


3. dil ka dard ek raaz banke reh gaya;

    Mera bharosa majak banker rehgaya;

    Dil ke saudagar se dillagi kar baithe;

    Syayd is liye mera pyar majak ban kar reh gaya..


4. Kabhi toh ki hogi suraj ne chand say mohabbat, tabhi toh chand mein daag hai;

ore mumkin hai, 

chand ne ki hogi bewafai;

tabhi toh suraj mai aag hai..


5. har phul gulab nahi hota 

yaha har khwab pura nahi hota;

zindagi bhi kar deti hai kabhi kabhi ajib sawal;

khair janedo har sawal ka jawab nahi hota..


6. Har ashiq ki ek ajab kahani hai

chup rehna bhi pyar ki nishani hai;

koi zakham nahi fir bhi dard ka ehsaas hai,

qki aaj bhi dil ka tukda uske paas hai..


7. bin baat ke hi ruthneki aadat hai,

kisi apne ka sath pane ki chahat hai,

aap khush rahen mera kya hai,

mai toh aayna hu mujhe tutneki aadat hai.


8. dil ka jakham dikhaya nahi jaata,

gam ka kissa baar baar sunaya nahi jyata,

jee bhar ke dekh lena tum iss chehreko,

qki yeh kafan bar bar hataya nahi jyata.


9. Soon liya hamne faisla tera 

soon kar udaas hon baithe,

zehan chup chup, aankh khali jaise,

jaise kayinaat kh baithe.


10. Woh karib hi na aaye toh ijhar kya kare,

khud bane nishana toh sikaar kya kare,

mar gaye par khuli rakhe anke;

isse jyada kisika intajaar kya kare..


11. Aansu jante hai koan apna hai tabhi apnoke samne nikalte hai,

muskarahat ka kya hai janab yeh toh gairon se bhi wafa kar leti hai.


12. Mere dil ko abh kisise gila nahi

dil jise bhi chaho wo mila nahi

badnaseeb kahu ya wakt ki bewafai

phul jo lagaya woh kabhi khila hi nahi.


13. Thanda mousam halki barish hath mein uska hath tha,

char kadam sath chale teh, ankh khuli toh khwab tha.


14. Adalat ishq ki hogi,

mukadma mohabbat ka hoga,

gawahi tera dil dega,

ore murjim tera pyar hoga.


15.Dark kitna hai bata nahi sakte,

Zakham kitna hai bata nahi sakte,

Ankho se samaj sako toh samajlo,

Ansu gire kitne gina nahi sakte.💔


16. Raat mai tutta tara dekha mere jaise tha,

chand ko koi farak nahi pada bilkul tere jaise tha.😖


17. Nafrat toh nahi hai tujhse lekin,

Abh mohabbat bhi nahi hai,

Bichadneka dukh toh Bohat hai,

Par abh milneki chahat nahi hai.🙂


18.Kal tumhe fursat na milegi toh kya karogi,

kal mohlat hi nahi mili toh kya karoge,

roz kehte hona kal baat karoge 

kal meri ankh hi na khuli toh kya karoge.😖😖


19. Khamosh chehrepar hazaro pehre hote hai,

hasti ankhon mebhi zakham gehre hote hai.

Comments

Popular posts from this blog

Romantic shayari

Comedy shyari