Romantic shayari

Kisine pucha tha mujhe woh kya hai mere liye ?

toh maine bhi muskarake bol diya 

* Jhil kya hai = uski ankhen

Umda kya hai = uska chehra

Khusboo kya hai = uski sansein

Khushiya kya hai = uska hona

Gam kya hai = ussey judai

Sawan kya hai = uska rona

Sardi kya hai = uski udasi

Garmi kya hai = uska gussa

Baharay kya hai = uska hasna

Mittha kya hai = uski batein

Kadwa kya kai =meri batein

Kya padna hai = uska likha

Kya sunna hai = uski gazal

Labh ki khawish = uska matha

Zakhmo ki khawish = uska chuna

Dil ki khawish = usko pana

Duniya kya hai = jungle hai

Oar tum kya ho = ped samaj lijiye

Oar who kya hai = ek rahi hai

Kya socha hai = ussey Mohabbat

Kya karte hon = ussey Mohabbat

Iske alawa = ussey Mohabbat

Mtlb peshya = ussey Mohabbat, ussey Mohabbat, ussey Mohabbat.


ek dour aisa aaya tha jyaha maine usko laal saree par dekha tha.

2 dariya par anchal girakar lehron ko ajmaya na karon;
  bhige balon ko jhatak kar ret ko jagaya na karon;
  laal saree oos par sinese lipti hue, bhigay zulfen;
  meri jaan ada rakho, magar adaon se tadpaya na karon...


3 yeh sher mujhe tabh yaad aaya jabh mere ankhon ko uske ankhonse milana tha, toh sher yeh hai ki;

* nazar utau jo jara tum toh Qayamat chaley ;

   Hai intajar ki ankhon say koi baat chalay ;

   Tumhare Marji bina wakt bhi afahij hai ;

   Na din khisakta hai aagay, na aagay raat chalay..


4. Dekha usko muskarate huye ore keh diya ki:

*mat muskarao itna phulon ko khabar lag jayegi ;

Karengay woh tareef tumhari ore tumhe nazar lag jayegi.

 

5.Bohat haseen sa nazara ban chuka tha us din jabh woh savernepe aayi thi, usko dekha aisa ki palak bhi na jhapkaya, usime usne yeh kaha thaki, nazar lag gayi toh:
* mudattein khudki kuch khabar na lagay ;

Koi acha bhi is qadar na lagay ;

Maine jis nazar say dekha hai apko ;

Oos nazar se apko nazar na lagay..

 

6.uska kuch aisa kirdar hai ki me khush hu mera naseeb ussey jodh ke

* Tujhe roj dekhu karib se ;

   Mere shouk bhi hai baden ajibse ;

   Main khush hu jod kar nasib mera teray Nasib se..


7.yaron mujhe marham lagau magar uske hath se qki

* Mizaaz ye ishq homeophatic hain unka ;

    Na suviya, na bottle, na X-ray, na dakhila ;

    Hamdard bayaan karte rahe ;

     Wo mitthi goliya detay rahen.


8. Jabh usne mujha ki meri kya ehmiyat tbh mai

*ws kaise mai batau apko, aap mere liye kya hon;

Dhadkane thama detay hon, jiwan ko sangit bana detay hon;

Ap Zindagi, ap bandagi, ap Roshni, ap tajgi,

Har Khushi, pyar ho, preet ho, manmeet ho.

Ankhon mai aap, yadon mai aap, nindon mai aap, khwabon mai aap;

Aap ho meri har baat mai, aap hon mere din raat mai;

Aap subha mai, aap sham mai, aap soch mai;

Mere liye paana bhi aap, khona bhi aap;

Mere liye rona bhi aap, mere liye hasna bhi aap oar jagna sona bhi aap;

Jaun kahi, dekhu kahi, aap hon waha, aap hon wahi;

Kaise me batau aap bin toh kuch bhi nahi..


9. koi puche ussey sawal jawab na miley toh mujhe kehna 

* Pyar ke panno se bhari kitab ho tum;

    Rishton ke fulonme gulab ho tum;

    Kuch log kehte hai ki pyar sacha nahi hota;

    Un logon ko har sawaal ka jawab ho tum..

 

10. pata hai mere liye sabhse pahla deedar uske ankhon se hua

*Tumhari baat hi kuch aur hai;

      Lafz khamosh tumhari ankhen karti shour hai;

      Aur mai chahe Kahin bhi jyana chahu;

     Yeh kadam chaltay sirf teri ore hai..


11. maine pucha har uljan ki mat hai tumhare paas ankhir kar kaise lete hon khushi khushi me, toh usme sirf ek hi baat batayi mujhe bs kewal prem se hyyyyy sachme woh har mushkil ki maat haste huye chehrese karti hai, sach kaha kisine prem se kiyi hue chiz har mushkil ko aasan bana deti hai.

* Lafz ki shaqal mein ehsaas likha jyata hai;

     Yaha pani ko bhi pyaas likha jyata hai;

     Meri jazbat se wakif hai meri kalam;

     Main pyar likhu toh uska naam likha jata hai..


12 . Ussey pyar beintahah hai, aaj bhi hum miley us jagah par jyake baitta hu toh uske honeka ehsaas aaj bhi hota hai..

*Mere ankhon mai mohabbat ki chamak aaj bhi hai;

halaki usko mere pyar par skh aaj bhi hai;

naav mai baithkar dhoye thai hath kabhi usne,

puray talaab mai mehandi ki mehak aaj bhi hai..


13. usne jo pucha mujhe itna kaise bhata he mera pyar ?

*tere pyar ka kya hisaab dun.

tere mohabbat ko kya kitabh dun;

koi acha sa phul hota toh tumhe jarur pesh karta;

magar jo khud hi gulab ho ussey kya gulab dun..


14. jabh baat aayi swikarneki toh pucha mujhse natkhat irade me ki kaha rakhoge mujhe ore hamne bhi natkhat hunar me kehdiya:

* Kabhi dil, kabhi dimag, kabhi nazrome rahon;

yeh sabh tumharahi ghar hai, kisibhi ghar mai rahon..


15. Tasveer dekhte dekhte mein yeh kehta hu tuje;

* Moum ke paas kabhi aag ko lakar dekhu,

sochta hu ke tujhe hath lagakar dekhu;

kabhi chupkese chala aau teri khilwat mai,

oar tujhe teri nigaon se bacha kar dekhu;

dil ka mandir viraan nazar aata hai,

sochta hu teri tasveer laga kar dekhu..


16 mein khich khicha raha tha ore usne kahaki tu kam shabdome pyar ka ijhar kar dena.

* sajan chun chun kar shabhd naye,

kissay, vahi har bar likhu;

teri in nashili ankhon mai,

apna sara sansar likhu;

mai viraha ki vedna likhu,

ya milan ki jhankaar likhu;

tu hi bata, thode shabdome,

kaisey sara pyar likhu..


17.yr yeh sabh uske liye karne ke liye mohtaz hon jyata hu.

 *ek ladka tha

jo tute dil ko jodne aaya tha,

roti hue ko hasane aaya tha,

usse pata tha ki tuti hui hu main,

hajaro tukdo main mili hui hu main,

mujhe sahara dene aaya tha,

paraya hokar usne mujhe apnaya tha,

pata nahi tha shayad humen ki ye dil jud jayega,

do anjaan raahi yuh mil jayenge,

dosti ka irada tha 

par dosti se jyada tha.

haule haule woh aaya tha,

dil mai yuh samaya tha.

dil ke ek kone mai nahi,

usne toh pure dil pe hak jamaya tha.

chote se dil pe raaz kar baitha,

yuh usne mujhe vishwas dilaya tha.

raah mai kabhi na chodega,

sath kabhi nahi todega,

kuch yuh woh mere dil mai samaya tha,

ki ek ladka meri zindagi mai aaya tha..


18.mein ore tum.

tu akad mera toh mein guroor teri,

tu mohabbat mera toh mein fitoor teri.

tu raat nasheli toh mein din ki sehar,

tu dil ka raaz toh mein qayamat ki kehar.

tu labh mera toh mein surkh labon ki lalli,

tu pyas mera toh mein boondon ki pyali.

tu ibadat toh mein dua,

tu rangeen rangoli toh mein rang gerua.

tu sath merein toh mein himmat teri,

tu hathon ki lakir toh mein kismat teri.

tu eid ka chand toh mein raaton ki chandani,

tu pagal awara toh mein dewani teri.

tu kalam kitabo ka toh mein khayalon ki diary,

tu galib mehfilo ka toh mein dil ki shayari..


19. teri har baat par aitbaar kar sakta hu,

tere har chiz se mein pyar kar sakta hu,

tu bas kehde ek dafa ke tum mere ho

sari zindagi tera bankar reh sakta hu.


20. duniya ko khushi chahiye aur mujhe har khushi mai tum,

mere doston ko wakt chahiye aur mujhe har wakt mai tum,

pyase ko kuaa chahiye aur mujhe har dua mai tum,

aur mere maa ko bahu chahiye aur mujhe bahu ke roop mai tum.


21. Tum suraj toh nahi lekin meri zindagi ki roshni lagti hon,

na sona, na chandni, na heera, sirf tum haseen lagti hon,

abh tume sajne sawarneki kyahi jarurat

jabh tum sadgi mebhi jewar se jyada khubsurat lagti hon.


22. Mein tujhse mohabbat karta hu, tu mujhpar apna haq jataya kar.

apni udasi mujhe dede, tu mere hisse ka muskaraya kar.


23. Teri yaad mai pehgaam likhte Hai,

Teri yaad mai woh guzre woh sham likhte Hai,

Woh Kalam bhi Teri dewani hon jyati Hai,

Jis Kalam se ham tera Naam likhte Hai..


24. Bohat afzal ho tum, tumhe nayaab likhdu kya,

yeh nazmein gazlein chordo, mein tumpar kitaab likhdu kya?


25. Ghalib ne bhi nahi likha ho tere liye kuch aisa likh jau,

tu kharid toh sahi mein teri ankhon ke ishare par bik jau.


26. Puche jo khuda ek baar mujhse bata kya chahiye,

Mein tera hath pakad kar chal padu aur kahu bs yahi chahiye..🤝💖,


27. Dil ke rishte ka koi naam nahi hota,

har rishteka koi makaam nahi hota,

nibhaneki chahat ho agar dono taraf se

kasam se koi rishta nakaam nahi hota.💗


28. Mujhe mera ek khwab haqiqat banana hai,

Zindagi ka har lamha tere sath gujarna hai.🙃


29. In ankhon ko jab jab unka deedar hon jyata hai,

din koi bhi hone mere liye tyohar hon jyata hai.


30. Acha khasa baithe baithe goom ho jyata hu,

abh may aksar, may naahi rehta, tum ho jyata hu.


 

 


Comments

Popular posts from this blog

Comedy shyari